Bharat ki Rajdhani hai Dilli,
Bahut si cheeze yahan dekhne wali;
Qutub Minar Aur Lal Qila,
Bahut sundar hai yeh zila!
Meri Dilli,
Mein hai Aravalli,
Behti hui Yamuna ki dhara,
Aur pedo par chidiyon ka basera!
Jaade ki sardi,
Ne hai had paar kardi,
Aur Garmi se haal sabka,
Hota bahut behal!
Doda barfi, Kaju katli,
Aur mithai ghantewali;
Chat papdi, dahi bhalle,
Kha kar karte balle balle!
Holi Aur Diwali,
Do utsav bade achhe;
Holi mein rang aur pichkariyan,
Aur Diwali mein phuljhadi jalate bachche!
Lo bhaiya Dilli meri,
Sabh bata diya uske baare mein;
Agar aap bhi ho Dilliwasi,
Toh ye sabh hoga aapki bhi pehchaan mein!
~ Anoushka Sabnis